Wafa Jo Na Ki To Song Lyrics – Muqaddar Ka Sikandar

Wafa Jo Na Ki To Song Lyrics – Muqaddar Ka Sikandar

Manzoor nahi meri mohabbat to kya hua
Aye dost dushmani nibhane ke liye aa
Mana tere karam ke to kaabil nahi rahe
Aa mere dil pe zulm hi dhaane ke liye aa

Wafa jo na ki to jafa bhi na keeje
Wafa jo na ki to jafa bhi na keeje
Sitam jaan-e-man is tarah bhi na keeje
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Wafa aa aa

Tumhein jabse dekha mujhe yoon laga
Ke kashti ko apna khuda mil gaya
Ibaadat mere dil ne ki is tarah

Mere dil ko jaise khuda mil gaya

Dua aa aa
Dua jo na di bad-dua bhi na deeje
Sitam jaan-e-man is tarah bhi na keeje
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Wafa aa aa

Nahi ishq humse nahi na sahi
Humein ishq tumse hai hum kya karein
Hai mar mar ke jeene ki aadat humein
Tumhari bala se jiyein ya marein

Bhala aa aa
Bhala na kiya to bura bhi na keeje

Sitam jaan-e-man is tarah bhi na keeje
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Wafa aa aa

Wafa jo na ki to jafa bhi na keeje
Sitam jaan-e-man is tarah bhi na keeje
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Ke marne ki tamanna mein
Kahin jee na jayein
Wafa aa aa

Song Details:

Movie: Muqaddar Ka Sikandar
Released: 1978
Artist: Hemlata

Watch on YouTube: