Tum saath ho jab apne
Duniya ko dikha denge
Hum maut ko jeene ke
Andaz sikha denge
Tum saath ho jab apne
Duniya ko dikha denge
Hum maut ko jeene ke
Andaz sikha denge
Maana ke andheron ke
Gahre hain bohat saaye
Arre maana ke andheron ke
Gahre hain bohat saaye
Par gham hai yahan kisko
Aati hai to raat aaye
Hum raat ke seene mein
Ek shamma jala denge
Tum saath ho jab apne
Duniya ko dikha denge
Hum maut ko jeene ke
Andaz sikha denge
Hum to hain dil wale
Khanjar se nahi marte
Arre hum to hain dil wale
Khanjar se nahi marte
Hum zulfon ke kaidi hain
Sooli se nahi darte
Sooli ko bhi zulfon ki
Zanjeer bana denge
Tum saath ho jab apne
Duniya ko dikha denge
Hum maut ko jeene ke
Andaz sikha denge
Aye ehle jahan tumko
Nafrat ki hai beemari
Aye ehle jahan tumko
Nafrat ki hai beemari
Bhadkaya karo sholay
Phenka karo chingaari
Hum pyar ki shabnam se
Har aag bujha denge
Tum saath ho jab apne
Duniya ko dikha denge
Hum maut ko jeene ke
Andaz sikha denge
Tum saath ho jab apne
Duniya ko dikha denge
Hum maut ko jeene ke
Andaz sikha denge
Tum saath ho jab apne
Duniya ko dikha denge
Hum maut ko jeene ke
Andaz sikha denge
Andaz sikha denge
Andaz sikha denge
Andaz sikha denge
Song Details:
Song : Tum Saath Ho Jab Apne
Album : Kaalia (1981)
Singer : Kishore Kumar, Asha Bhosle
Musician : R. D. Burman
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Watch on YouTube: