Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
Shikwa nahin, shikwa to nahin, shikwa to nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin

Kaash aisa ho tere kadmon se chun ke manzil chale
Aur kahin door kahin

Tum gar saath ho, manzilon ki kami to nahin
Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
Shikwa nahin, shikwa to nahin, shikwa to nahin

Jee mein aata hai tere daaman mein
Sar chhupa ke hum rote rahein, rote rahein

Teri bhi aankhon mein aansuon ki nami to nahin
Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
Shikwa nahin, shikwa to nahin, shikwa to nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin

Tum jo keh do to aaj ki raat chaand doobega nahin
Raat ko rok lo

Raat ki baat hai aur zindagi baaki to nahin

Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
Shikwa nahin, shikwa to nahin, shikwa to nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin
Tere bina zindagi se shikwa to nahin

Song Details:

Song : Tere Bina Zindagi Se Koi Shikwa To Nahin
Album : Aandhi (1975)
Singer : Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Musician : R. D. Burman
Lyricist : Gulzar

Watch on YouTube: