Teri khata hai mere jiya
Teri khata hai mere jiya
Unpe bharosa kyon toone kiya

Sab jhoothe jhoothe vaade the unke
Chal peechhe peechhe aaya tu jinke
Woh piya aaye na woh piya aaye na
Piya aaye na woh wo piya aaye na

Ab sabhi unn khwaabon ki tu

Dagar chod de
Ab sabhi unn khwaabon ko tu
Khud hi tod de
Woh piya aaye na woh piya aaye na
Piya aaye na woh wo piya aaye na

Teri khata hai mere jiya
Teri khata hai mere jiya

Har khata ki hoti hai koyi na koyi saza

Gham likhe hon kismat mein to
Ban hi jaati wajah
Ab sabhi gam ashqon mein
Simat se gaye
Ab sabhi aansu palkon se lipat se gaye
Woh piya aaye na woh piya aaye na
Piya aaye na woh piya aaye na

Sang bana tha jo bewajah
Humko woh bharam ho gaya hai
Bhor aane thi jis fasane mein
Woh khatam ho gaya
Bhoole hum bhoole woh
Kaise sabse kahein baat yeh
Ab chalo hum dheere dheere
Bikhar se gaye
Ab chalo hum jaise bhi hon
Sambhal se gaye

Woh piya aaye na woh piya aaye na
Piya aaye na woh wo piya aaye na
Woh piya aaye na woh piya aaye na
Piya aaye na woh wo piya aaye na

Teri khata hai mere jiya
Teri khata hai mere jiya
Unpe bharosa kyon toone kiya

Song Details:

Song : Piya Aaye Na
Album : Aashiqui 2 (2013)
Singer : Kay Kay, Tulsi Kumar
Musician : Jeet Ganguly
Lyricist : Irshad Kamil

Watch on YouTube: