Pehle ke jaisa kuch bhi nahi hai
Din raat aankhon mein ik nami hai
Pehle ke jaisa kuch bhi nahi hai
Din raat aankhon mein ik nami hai
Pehle ke jaise mausam nahi hai
Baadal toh hai par barish nahi hai
Iss mod pe aa gaye hum batao
Raahein toh hain, humsafar hi nahi hai!
Aao chalein hum phir se wahaan pe
Jahaan pe kabhi khushbuon se miley the
Shayad wahin pe kahin kuch bacha ho
Jahaan pe kabhi saath hum tum chale thhe
Jisey kho diya hai
Khatam ho gaya hai
Uss pyar ko zindagi denge phir se
Qismat humein leke aayi kahaan pe
Samay chal raha hai magar hum ruke hain
Mere khwaab sab aakhiri saans leke
Gehraaiyon mein dafan ho chuke hain
Na awaaz koi hai hum tak pahuchti
Badi door khud se hum ja chuke hain
Rishton mein khamoshiyan aa gayi hain
Seene mein bhi dhadkano ki kami hai
Pehle ke jaise mere paas aao
Zaroorat hai humko gale se lagaao
Nahin raas aate hain humko andhere
Chalo chheen laayein phir woh savere
Chalo chheen laayein phir woh savere
Song Details:
Music : Abhishek Mishra
Singers: KK
Lyrics : Rashmi Virag
Music Produced & Arranged : DJ Phukon
Assistant :Madhav Deka
Musicians
Sarangi – Dilshad Khan
Oud,ukelele,mandolin,Harp & Dulcimer -Tapas Roy
Bass Clarinet & Viola – Shirish Malhotra
Instrument Recoding at Neo Sound (Andheri) by Pankaj Borah
Vocal Recording at :Wow & FlutteR studio by – Rupak Thakur
Song Mixed and Mastered by – Eric Pillai
Future sound of Bombay
Mix Assistant – Michael Edwin Pillai (Andy)