Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos yeh hai ke woh humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Hum shama jalana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pehar in aankhon mein
Woh chanchal mukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Par uski ek jhalak ko hum
Aye husan ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat yeh dukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos yeh hai ke woh humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Song Details:
Song : Mere Samne Wali Khidki Mein
Album : Padosan (1968)
Singer : Kishore Kumar
Musician : R. D. Burman
Lyricist : Rajendra Krishan
Watch on YouTube: