Kabhi kabhi mere dil

Mein khayaal aata hai

Kabhi kabhi mere dil

Mein khayaal aata hai

Ki jaise tujhko banaya

Gaya hai mere liye

Ki jaise tujhko banaya

Gaya hai mere liye

Tu abse pehle sitaaron

Mein bas rahi thi kahin

Tu abse pehle sitaaron

Mein bas rahi thi kahin

Tujhe zameen pe

Bulaya gaya hai mere liye

Tujhe zameen pe

Bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil

Mein khayaal aata hai

Ki ye badan ye nigaahein

Meri amaanat hain

Ki ye badan ye nigaahein

Meri amaanat hain

Ye gesuon ki ghani

Chhaon hain meri khatir

Ye honth aur ye baahein

Meri amaanat hain

Ye honth aur ye baahein

Meri amaanat hain

Kabhi kabhi mere dil

Mein khayaal aata hai

Ki jaise bajti hain

Shehnaaiyaan si raahon mein

Ki jaise bajti hain

Shehnaaiyaan si raahon mein

Suhaag raat hain ghunghat

Utha raha hun main

Suhaag raat hain ghunghat

Utha raha hun main

Simat rahi hai tu sharma

Ke apni baahon mein

Simat rahi hai tu sharma

Ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil

Mein khayaal aata hai

Ki jaise tu mujhe

Chaahegi umr bhar yuhin

Uthegi meri taraf

Pyaar ki nazar yuhin

Main jaanta hun ki

Tu gair hai magar yuhin

Main jaanta hun ki tu

Gair hai magar yuhin

Kabhi kabhi mere dil mein

Khayaal aata hai

Kabhi kabhi mere dil mein

Khayaal aata hai

Song Details:

Movie: Kabhi Kabhie

Singer : Lata Mangeshkar, Mukesh

Music : Khayyam

Lyrics: Sahir Ludhianvi

Label : Saregama India Limited

Year : 1976

Watch On Youtube: