Dagabaaz re haye, dagabaaz re
Tohre naina bade dagabaaz re

Ho tere naina haye
Naina naina naina haye

Dagabaaz re haye, dagabaaz re
Tohre naina bade dagabaaz re
Kal mile, haan kal mile haye
Kal mile phir hamka bhool gaye aaj re

Haye dagabaaz re, haye dagabaaz re
Tohre naina bade dagabaaz re
Dagabaaz, dagabaaz, dagabaaz re
Tohre naina bade dagabaaz re

Kahe khafaa aise Chulbul se bulbul
Kahe na tu maane batiyaan haye
Kahe khafaa aise Chulbul se bulbul
Kahe na tu maane batiyaan haye

Kahe pada peechhe, jaane de bairi
Main jaanoon kya tohri ghatiyaan haye

Zindagi apni hum tohka daan dayi dein
Muskura jo mange paran dayi dein
Kal mile, ho kal mile haye
Kal mile phir hamka bhool gaye aaj re
Haye dagabaaz re, haye dagabaaz re
Tohre naina bade dagabaaz re

Tohre naina daga daga daga dagabaaz re
Hain dagabaaz re naina re

Darta jahan humse, hum tohse darte
Ye sab jaanein mori Raniyaan haye
Darta jahan humse, hum tohse darte
Ye sab jaanein mori Raniyaan haye
Maska lagao na, chhodo ji chhodo
Samajhti hain tori thaniyaan

Is adaa pe to hum kurban gaye ji
Tohri na na mein haami hai jaan gaye ji
Kal mile, ho kal mile haye
Kal mile re hamka bhool gaye aaj re
Dagabaaz re, dagabaaz re
Tohre naina bade dagabaaz re
Dagabaaz dagabaaz dagabaaz re haye
Tohre naina bade dagabaaz re

Song Details:

Song : Dagabaaz Re
Album : Dabangg 2 (2012)
Singer : Rahat Fateh Ali Khan, Shreya Ghoshal
Musician : Sajid-Wajid
Lyricist : Sameer, Anjaan

Watch on YouTube: