Jis gali mein tera ghar na ho balma
Us gali se humein to guzarna nahi
Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho
Us dagar pe humein paanv rakhna nahi
Jis gali mein tera ghar na ho baalma
Zindagi mein kai rang raliyan sahi
Har taraf muskurati yeh kaliyan sahi
Zindagi mein kai rang raliyan sahi
Har taraf muskurati yeh kaliyan sahi
Khoobsurat baharon ki galiyan sahi..
Jis chaman mein tere pag mein kaante chubhe
Jis chaman mein tere pag mein kaante chubhe
Us chaman se humein phool chun-na nahi
Jis gali mein tera ghar na ho balma
Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke
Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke
Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke
Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke
Ya chala jaoonga main yeh jag chhod ke…
Jis jagah yaad teri satane lage
Jis jagah yaad teri satane lage
Us jagah ek pal bhi theharna nahi
Jis gali mein tera ghar na ho balma
Us gali se humein to guzarna nahi
Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho
Us dagar pe humein paanv rakhna nahi
Jis gali mein tera ghar na ho baalma
Song Details:
Song: Jis Gali Mein Tera Ghar
Album: Kati Patang (1971)
Singer: Mukesh
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Asha Parekh, Prem Chopra, Nasir Husain, Bindu etc.
Director: Shakti Samanta
Watch on YouTube: